Read the best and latest Poetry of Tehzeeb Hafi With love and compassionate feeling. Tehzeeb Hafi is one of the best and popular poets of Pakistan as well as India. He has written great Shayari and Poetry in the Urdu language. His Shayari and Ghazals are so fluent that anybody can be fallen in his words.
Tehzeeb Hafi poetry | Tehzeeb Hafi Shayari 2020
Tehzeeb Hafi poetry | Tehzeeb Hafi Shayari 2020

Tehzeeb Hafi poetry | Tehzeeb Hafi Shayari 2020

Tehzeeb Hafi
جو تیرے ساتھ رہتے ہوئے سو گوار ہو
لعنت ہو ایسے شخص پہ اور بے شمار ہو
اب اتنی در بھی نہ لگا یہ نہ ہو کہ کہیں
تو آ چکا اور تیرا انتظار ہو
ایک آستین چڑھانے کی عادت کو چھوڑ کر
حفی تم آدمی تو بہت شاندار ہو

Jo Tere Saath Rehte Hue Sau Gawaar Ho
Laanat Ho Aise Shakhs Pe Aur Beshumar Ho
Ab Itni Der Bhi Na Laga Ye Naa Ho Kahi
Tu Aa Chuka Ho Aur Tera Intezaar Ho
Ek Aasteen Chadhaane Ki Aadat Chhod Kar
Hafi Tum Aadmi Toh Bahut Shaandaar Ho


یہ کس طرح کا تعلق ہے آپ کا میرے ساتھ
مجھے ہی چھوڑ کے جانے کا مشورہ میرے ساتھ
وہ جھانکتا نہیں کھڑکی سے دن نکلتا ہے
تجھے یقین نہیں آ رہا تو آ میرے ساتھ

Yeh Kis Tarah Ka Taalluq Hai Aapka Mere Saath
Mujhe Hi Chhod Ke Jaane Ka Mashwara Mere Saath
Woh Jhaankta Nahi Khidki Se Din Nikalta Hai
Tujhe Yaqeen Nahi Aa Raha Toh Aa Mere Saath 


تجھے بھی ساتھ رکھتا اور اسے بھی اپنا دیوانہ بنا لیتا
 اگر میں چاہتا تو دل میں چور دروازہ بنا لیتا
میں اپنے خواب پورے کر کے خوش ہو
پر یہ پچھتاوا نہیں جاتا کہ
مستقبل بنانے سے اچھا ہوتا تجھے اپنا بنا لیتا

Tujhe Bhi Saath Rakhta Aur Usse Bhi Apna Deewaana Bana Leta
Agar Mai Chaahta Toh Dil Me Chor Darwaaza Bana Leta
Mai Apne Khwaab Poore Kar Ke Khush Hu
Par Ye Pachhtaava Nahi Jaata Ki
Mustaqbil Banaane Se Achha Hota Tujhe Apna Bana Leta 

Tehzeeb Hafi Urdu Poetry

گھر میں بھی دل نہیں لگ رہا ہے کام پر بھی نہیں جا رہا
جانے کیا خوف ہے جو تجھے چوم کر بھی نہیں جا رہا
رات کو ۳ بجنے کو ہے یار یہ کیسا محبوب ہے
جو گلے بھی نہیں لگا رہا اور گھر بھی نہیں جا رہا

Ghar Me Bhi Dil Nahi Lag Raha Kaam Par Bhi Nahi Jaa Raha
 Jaane Kya Khauf Hai Jo Tujhe Choom Kar Bhi Nahi Jaa Raha
Raat Ko 3 Bajne Ko Hai Yaar Yeh Kaisa Mehboob Hai
Jo Gale Bhi Nahi Lag Raha Aur Ghar Bhi Nahi Jaa Raha 


tehzeeb hafi shayari
اُس کی تصویرے ہے تو دلکش تو ہوگی
جیسی دیواریں ہے ویسا سایہ ہے
ایک میں ہو جو تیرے قتل کی کوشش میں تھا
ایک تو ہے جو جیل میں کھانا لایا ہے

Uss Ki Tasveere Hai Dilkash Toh Hogi
Jesi Deewaare Hai Waisa Saaya Hai
Ek Mai Hu Jo Tere Qatl Ki Koshish Me Tha
Ek Tu Hai Jo Jail Me Khaana Laaya Hai 


ایک اور شخص چھوڑ کر چلا گیا تو کیا ہوا
ہمارے ساتھ یہ کونسا پہلی مرتبہ ہوا
میرے خلاف دُشمنوں کی صف میں ہے اور
میں بہت برا لگوں گا اُس پہ تیر کھینچتا ہوا
ازل سے ان ہتھیلیوں ف ہجر کی لکیر تھی
تمہارا دُکھ تو جیسے میرے ہاتھ میں بڑا ہوا

Ek Aur Shakhs Chhod Kar Chala Gaya Toh Kya Hua
Hamaare Saath Yeh Konsa Pehli Martaba Hu
Mere Khilaaf Dushmano Ki Saff Me Hai Aur
Mai Bahut Bura Lagunga Uss Pe Teer Kheenchta Hua
Azal Se In Hatheliyo Pe Hijr Ki Lakeer Thi
Tumhaara Dukh Toh Jaise Mere Haath Me Bada Hua


سُنا ہے اب وہ آنکھیں اور کسی کو رو رہی ہے
میرے چشموں سے کوئی اور پانی بھر رہا ہے
بہت مجبور ہو کر میں تیری آنکھوں سے نکلا
خوشی سے کون اپنے مُلک سے باہر رہا ہے
گلے ملنا نہ ملنا تیری مرضی ہے مگر
تیرے چہرے سے لگ رہا ہے تیرے دل کر رہا ہے

Suna Hai Ab Woh Aankhe Aur Kisi Ko Ro Rahi Hai
Mere Chashmo Se Koi Aur Paani Bhar Raha Hai
Bahut Majboor Ho Kar Mai Teri Aankho Se Nikla
Khushi Se Kon Apne Mulk Se Baahar Raha Hai
Gale Milna Naa Milna Teri Marzi Hai Lekin
Tere Chehre Se Lagta Hai Tera Dil Kar Raha Hai 


آئینے آنکھ میں چبھتے تھے
بستر سے بدن کتراتا تھا
ایک یاد بسر کرتی تھی مجھے
 میں سانس نہیں لے پاتا تھا
ایک شخص کے ہاتھ میں تھا میرا سب کچھ 
کھلنا بھی مرجھانا بھی
روتا تھا تو رات اُجڑ جاتی اور
ہنستا تھا تو دن بن جاتا تھا

Aayene Aankh Me Chubhte The
bistar Se Badan Qatraata Tha
Ek Yaad Basar Karti Thi Mujhe
mai Saans Nahi Le Paata Tha
Ek Shakhs Ke Haath Me Tha Sab Kuch
Mera Khilna Bhi Murjhaana Bhi
Rota Tha Toh Raat Ujad Jaati Aur
hansta Tha Toh Din Bann Jaata Tha


میں رب سے رابطے میں رہتا 
ممکن ہو کہ اس سے رابطہ ہو
مجھے ہاتھ اٹھانے پڑتے تھے
تب جا کے وہ فون اٹھاتا تھا
مجھے آج بھی یاد ہے بچپن میں
کبھی اُس پر نظر اگر پڑتی
میرے بستے سے پھول برس پڑتے
میری تختی پہ دل بن جاتا تھا

Mai Rab Se Raabte Me Rehta
Mumkin Hai Ki Uss Se Raabta Ho
Mujhe Haath Uthaana Padte The
Tab Jaa Ke Woh Phone Uthata Tha
Mujhe Aaj Bhi Yaad Hai Bachpan Me
kabhi Uss Par Nazar Agar Padti
Mere Baste Se Phool Baraste The
Meri Takhti Pe Dil Ban Jaata Tha 
tehzeeb hafi poetry urdu
پہلے اُس کی خوشبو میں نے خود پہ طاری کی
پھر میں نے اس پھول سے ملنے کی تیاری کی
اتنا دُکھ تھا مجھ کو تیرے لوٹ کے جانے کا
میں نے گھر کے دروازے سے بھی منہ ماری کی

Pehle Uss Ki Khushboo Maine Khud Pe Taari Ki
Phir Mai Ne Uss Phool Se Milne Ki Tayyari Ki
Itna Dukh Tha Mujh Ko Tere Laut Ke Jaane Ka
Mai Ne Ghar Ke Darwaazo Se Bhi Munh Maari Ki

Tehzeeb Hafi Shayari

اسی جگہ پر جہاں کئی راستے ملے گے
پلاٹ کر آئے تو سب سے پہلے تجھے ملے گے
اگر کبھی تیرے نام پر جنگ ہو گئی تو
ہم ایسے بزدل ہے کہ پہلی صف میں کھڑے ملے گے
تجھے یہ سڑکیں میرے توسط سے جانتی ہے
تجھے ہمیشہ یہ سب اشارے کھلے ملے گے

Ussi Jagah Par Jahaa Kayi Raaste Milenge
Palat Kar Aaye Toh Sab Se Pehle Tujhe Milenge
Agar Kabhi Tere Naam Par Jang Ho Gayi Toh
Hum Aise Buzdil Ki Pehli Saff Me Khade Milenge
Tujhe Yeh Sadke Mere Tawassut Se Jaanti Hai
Tujhe Hamesha Ye Sab Ishaare Khule Milenge


ہمیں بدن اور نصیب دونوں سنوارنے ہے
ہم اُس کے ماتھے کا پیار لے کے ملے گے
نہ جانے کب اُس کی آنکھیں چھلکے گے میرے غم میں
 نہ جانے کس دن یہ برتن بھرے ملے گے

Hame Badan Aur Naseeb Dono Sanwaarne Hai
Hum Uss Ke Maathe Ka Pyaar Le Kar Gale Milenge
Naa Jaane Kab Uss Ki Aankhe Chhalkege Mere Gham Me
Naa Jaane Kis Din Ye Bartan Bhare Milenge 



tehzeeb hafi poetry
دھوپ پڑے اُس پر تو تم بادل بن جانا
اب وہ ملنے آئے تو اُس کو گھر ٹھہرانا
تم کو دور سے دیکھتے دیکھتے گزر رہی ہے
مر جانا لیکن کسی غریب کے کام نہ آنا

Dhoop Pade Uss Par Toh Tum Baadal Ban Jaana
Ab Woh Milne Aaye Toh Uss Ko Ghar Thehraana
Tum Ko Door Se Dekhte Dekhte Guzar Rahi Hai
Mar Jaana Par Kisi Gareeb Ke Kaam Naa Aana 


تھوڑا لکھا اور زیادہ چھوڑ دیا
آنے والوں کے لیے میرا راستہ چھوڑ دیا
لڑکیاں عشق میں کتنی پاگل ہوتی ہے
ہارن بجا اور چولھا جلتا چھوڑ دیا
تم کیا جانوں اُس دریا پر کیا گزری
تم نے تو بس پانی بھرنا چھوڑ دیا

Thoda Likha Aur Zyadaa Chhod Diya
Aane Waalo Ke Liye Raasta Chhod Diya
Ladkiyaa Ishq Me Kitni Paagal Hoti Hai
Horn Bajaa Aur Chulha Jaltaa Chhod Diya
Tum Kya Jaano Uss Dariya Par Kya Guzri
Tum Ne Toh Bass Paani Bharna Chhod Diya


کسے خبر ہے کہ عمر بس اس پہ
غور کرنے نے میں کٹ رہی ہے
کہ یہ اُداسی ہمارے جسم سے
کس خوشی سے نپٹ رہی ہے
عجیب دُکھ ہے کہ ہم اُس کے ہو کر بھی
اُسے چھونے سے ڈر رہے ہیں
عجیب دُکھ ہے ہمارے حصے کی آگ
اوروں میں بٹ رہی ہی
میں اُس کو ہر روز بس
یہی جھوٹ سننے کو فون کرتا ہو
سنو یہاں کوئی مسئلہ ہے
تمھاری آواز کٹ رہی ہے

Kisse Khabar Hai Ki Umar Bas Iss  Pe
Gaur Karne Me Kat Rahi Hai
Ki Yeh Udaasi Hamare Jism Se
Kis Khushi Se Nipat Rahi Hai
Ajeeb Dukh Hai Ki Hum Uss Ke Ho Kar Bhi
Usse Chhune Se Dar Rahe Hai
Ajeeb Dukh Hai Hamaare Hisse Ki Aag
Auro Me Batt Rahi Hai
Mai Uss Ko Har Roz Bas
Yahi Jhoot Sunne Ko Phone Karta
Suno Yaha Koi Massla Hai
Tumhaari Aawaaz Katt Rahi Hai

Poet Tehzeeb Hafi

Hello Readers, You have almost completed the the reading of Poetry and Shayari of one of the best poet of this generation Tehzeeb Hafi. Actually the fun fact about this young Poet is his full name is Tehzeeb-ul Hasan Qalmi. This beautiful and meaningful writer was born in Punjab city of Pakistan. He is having a qualification of degree in software Engineering from Hyderabad and M.A in Urdu from Bahawalpur University